If Nakedness is lacking whose hand can Madness lend?
Collar tearing now the Duty my neck to thus bend.
Like the prismatics of burning paper is Restlessness' wizardry
With mirrors myriad the heart binds its own flutter to be free
What claim for departed joy can we press on Heaven's Wheel?
For what the Highwayman carries off, in his debt we yet feel
To extinction allot your essence if for it you are yet eager
The wood chips kindle, make the fire-place not meager.
I am a sacrifice of such style as to my butcher instigate
To such ingenuity in torture both worlds regenerate
junūñ kī dast-gīrī kis se ho gar ho nah ʿuryānī
garebāñ chāk kā ḥaq ho gayā hai merī gardan par
garebāñ chāk kā ḥaq ho gayā hai merī gardan par
bah rang-e kāġhaż-e ātish-zadah nairang-e betābī
hazār āʾīnah dil bāñdhe hai bāl-e yak tapīdan par
hazār āʾīnah dil bāñdhe hai bāl-e yak tapīdan par
falak se ham ko ʿaish-e raftah kā kyā kyā taqāẓā hai
matāʿ-e burdah ko samjhe huʾe haiñ qarẓ rahzan par
fanā ko sauñp gar mushtāq hai apnī ḥaqīqat kā
furoġh-e t̤ālaʿ-e ḳhāshāk hai mauqūf gulḳhan par
furoġh-e t̤ālaʿ-e ḳhāshāk hai mauqūf gulḳhan par
asad bismil hai kis andāz kā qātil se kahtā hai
kih mashq-e nāz kar ḳhūn-e do-ʿālam merī gardan par
kih mashq-e nāz kar ḳhūn-e do-ʿālam merī gardan par
No comments:
Post a Comment